jago bharat jago
Raah hai badi, par manzil duur nahi,
Kaal ka hai chakravyuh, par phasnewale hum nahi,
dil mein hai aag, hai aag shaanti ki,
hai aag kaamyaabi ki,
jisme hoga wah basm jo roke hume,
hoga nasht wah jo toke hume,
hume hai pyaas swatantra bharat ki,
haan swatantra bharat ki,
swatantra aapsi dushmani se,
swatantra dil ki kadwaahiyon se,
jahaan honge sabhi ek,
jahaan honge sabhi jaan se pyaare,
hey yuvak, lao tum khiinch bahar,
jo hain phase jaat-praant ke chakravyuh me,
hey yuvak, tum hi wah shakti
paratantra bharat ki, jo use swatantra banaye,
dil me jagalo is agni ko,
joo bujhe naa, bin manzil paaye.
Wednesday, January 14, 2009
My 1st attempt at writing a poem... Jago Bharat Jago
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
nice inspiring poem. hope to see more and better ones.
ReplyDeletethanks a million lily:)
ReplyDelete